Thursday, 5 April 2018

online paise kaise kamaye


hello dosto..
internet se paise kamana koi galat baat nahi hai koi bhi aadmi internet se ghar baithe paise kamasakta hai. agar aap bhi internet se paise kamane ke baare me soch rahe hai to aapko iski puri jankari honi chaheye jo aapko iss post me milegi.

internet par bahut se website hoti ha jin me see kuch frod hoti hai wo hame hamare kaam ke badle paise nahi dete isliye behtar hoga ki aap unke baare me pata kar le ya aap unke about us, privacy policy page padh sakte hai.

internet se paise kamana bahut badi baat nhi hai bass aapko isme thodi mehnat karni padegi. aap sabhi jante he honge  Jo mehnat karega wo ek na ek din success jarur hoga. bahut se loog aaj apni income internet se he karte hai. to chaliye aapko iske baare me batate hai...

online paise kaise kamaye
online paise kaise kamaye 




How to earn money online

bahut se log jin ko internet basic jankari hoti hai wo google pr search karte rahte hai ki google se paise kaise kamaye, online internet se paise kaise kamaye, online paise kamane ke tarike, how to earn money from internetyoutube se paise kaise kamayemobile se paise kaise kamaye. aaj me aapko is post ke jariye bataunga ki kaise aap internet se paise kama sakte hai..?? internet se paise kamane ke liye aapko koi investment ki jarurat nhi hai aap without investment ke paise kama sakte hai.

1.Blogging

ji haan.blogging...!! aapne blogging ka naam to pahle suna he hoga. agar aapne abhi tak blogging ke baaare me nhi pata to click here blogging kya hai blogging ke kya fayde hai blogging se paise kaise kamaye.
 
blogging ek aisa tarika hai jisme aapko ek bhi paise kharch karne ki jarurat nhi hai or aap isse jitni aapki marzi utne paise kama sakte ho bss aapko apna ek blog banana hai blog banane ke liye ye post padhe free blog kaise banaye .

ab aap ye soch rahe honge ki blog se paise kaise kamaye to chaliye me aapko bata du jab aapke blog me 400 ya 500 views/visiter daily aa jaane lage to aap apne blog ko google adsense se connect kar lijiye jab aapke blog me google adsense lag jayega tab google aapke blog me ads lagayega. jab koi visitor aapke adds par click karega to aapki earning hogi. aapko bata du ki google doller me pay karta hai.google adsense ko blog me kaise add kare iski jaankari me bad me dunga.

ab aapke man me ye sawal uth raha hoga ki jo paise ham earn karenge wo hame milenge kaise..? jab aapke adsense account me 100 doller ho jaye to google aapke bank account me wire transfer ke dwara paise bhejta hai.

2.YouTube

aap youtube par bhut sari videos dekhte honge lekin kya kabhi aapne socha ki jo log video upload karte hai unhe badle me kya milta hai..? jo log youtube me video upload karte hai unhe bhi google adsense se paise milte hai. aapne video start hone se pehle ads dekhe honge un me click karne se he unki earning hoti hai.

aapka jo bhi tallent hai aap use duniya ko dikha sakte hai or saath me paise bhi kama sakte hai. youtube se paise kamane ke baare m me likh chuka hu.
  • YouTube channel kaise banaye
  • YouTube channel me kis tarh ki video upload kare
  • YouTube channel ko monetize kaise kare
aapne YouTube par famous BB ki Vines ke baare me to suna hoga or bahut se log BB ki videos ko dekhte bhi honge Bhuwan Bam delhi ke rahne wale jai jin ke channel 2 saal me he 2517936 subscribers aa gye ye ek funny channel hai bas isme bad language me videos dali jati hai aaj ye banda youtube se ek month me 10/20 lakh kamata hai  YouTube bhi same blogging ki tarh hai isme bhi aapko paise aapke bank ac me wire transfer ke dwara aate hai.

3.Online teaching

agar aapki kisi subject me acchi pakad hai to aap online students ko padha kar bhi earning kar sakte hai.

online padhane ke liye aapko skillshare best site hai iske alawa tutornext, tutapoint bhi hai. aapko inme se koi ek website par register karna hoga or apna topic select karna hoga. topic select karne ke baad aapko usse related questions puche jayenge agar aapne unka shi answer de diya to aap select ho jaoge.

4.Sell your music

aap aapni aawaz me songs, ringtone record karke bhi paise kama sakte ho. iske liye aapko khud ki banaye hue ringtone ko internet par sell karna hoga. yaha me aapko online ringtone, music sell karne wali website ke naam bata raha hu aapko jo theek lage us me sell kar sakte hai.
Distrokid, Loudr iske alawa aap music play store par bhi ringtone share,sell kar sakte hai.

5.Sell photos online

kai log hote hai jinhe photos khichna accha lagta hai. agar aapko bhi photo khichna pasand hai to aap aapni khichi gyi photos ko online sell kar paise kama sakte hai.

aap apne photos ko Istockphoto , Creativemarket  par sell kar sakte ho. photo sell karne me kitni income hoti hai..?? ye bahut se logo ka sawal hota hai to me aapko batana chahunga ki wo aapke photo par dapend karta hai ki aapki photo kaise hai.. agar aapki photo acchi hai to lag use jyada pasand karenge. kuch log to keval ek photo se he lakho kama rahe hai..

6.Social Media

ye ek accha tarika hai online paise kamane ka kyuki sabhi log social media FacebookTwitter,InstagramGoogle+ etc me jyadatar online rahte hai. aap kisi site(amazon,flipcart,eBay,etc) se contact karke uske product sell kar sakte ho jisme aapko ek reffernal link de jayegi agar koi aapkireffernal link se koi product buy karta hai to aapko commission milega.
  • agar aapka facebook page hai or us par jyda likes pade hai to ye aapke liye accha hai aap kisi site ki reffernal link is site par share kar skte hai.
  • agar aapka facebook page nahi hai to ye padhe facebook page kaise banaye

7.Affiliate Marketing

hnn ye bhi ek accha tarika hai paise kamane ka affiliate marketing ke liye aapke pass ek blog/website honi chaheye. affiliate marketing me company ke dwara aapko ek link milegi us link ko aapko apne blog me lagani hogi. agar koi person aapke blog se/aapke link se product buy karta hai to aaapko uska commission milega. Affiliate marketing aapko $50 to $1000 se jyada earning kar sakte ho.

8.Web design

yadi aapke paas web design or developmemt ka soch rahe hai to aap un grahako ke ordar karake paisa kama sakate hai jo apane website ko develop karane ke talaash kar rahe hai. yadi aapke paas koi vichaar nahi hai to aap prashikshan le sakate hain aur phir ise shuru kar sakate hain kyonki is field ko ek mahan chamta mil gyi hai. ya to aap ofline prachaar kar sakte hai ya apni khud ki website bana sakte hai or online ko badhava dete hai.

9.My exprience

dosto mene aapko jo tarike bataye hai wo free ha jo aapko accha lage aap wo try kar sakte hai. aapki jis kaam me intrest hai aap wo kare.
  • lekin aapko pahle Blogging, YouTube try karna chaheye.
  • mere hisaab se ye dono tarike best hai online paise kamane ke liye.

To dosto ye the online paise kamane ke tarike aapko ye post kaise lagi hame comment me bataye or is post ko social media par apne friends ke saath share kare :)

online paise kaise kamaye Rating: 4.5 Diposkan Oleh: Ashvin thakor

0 comments:

Post a Comment